Aao Tumhey Yaad Keroun Poem by Asma Khan

Aao Tumhey Yaad Keroun



Aao tumhey phir sey yaad keroun
Dil key shehr ko abaad keroun

Kuch deir hui hai rouay huwy
chalo phir sey shuruwaad keroun

Zamana guzr geya hai tumhey diekhy huwy
essi behaney aankhein tum sey chaar keroun

Jo chala geya woh kub lout k aya hai?
jo baaqi hain sansein kyun barbaad keroun

Tum sey jitny bhi juray they sub chaly geye
Aao ab tumhari yaadoun ko bhi azaad keroun

Jin ko mili hai muhabat unhey kiya mil geya
iss behaney mein kiya firyaad keroun

Tumhara hono bhi khawab lagta hai na honey key baad
chand bhi pouchta hai ab mein kis ka intezaar keroun

Yeh mousum bhi apney beganay sey lagtey hain
ab bhala kis k lieye yeh singaar keroun

Tum ney tou anaa ko uhour k dhak liya khud ko
phir mein kis key liye yaadoun ka kafan teyaah keroun

Mein hariran houn k muhabat ho jati hai tum sey
tumhey jub bhi bhoulney ka ahad o iqrar keroun

Shayed khud ko azmaya tha tum sey muhbat ker key
yaqeen khud pey na reha, tum pey kiya aitibaar keroun

Tum bhoul jao rasta tou mein jaga badal loun gi
dil ka bacha abji soya hai, isey na ab bezaar keroin

Tumhey nahi aana tou mat aao, dour sey hi chaly jao
yeh mat sochna k mein koin takteer kero.

Sunday, November 9, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Love is kneaded in the soul of humans. No one can deny this fact. It has no age, no limits.
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 20 September 2015

यादों का ये सिलसिला थमने न पाये, जो भी लिख दिया न जमने पाये बारिश की तरह इससे आबाद करो ये जज़्बे को युही सदा शादाब रखो बेहतरीन ग़ज़ल है, बहुत पसंद आई

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success