A Lover From Palestine Poem by Ravi Kopra

A Lover From Palestine

Teri aankhen mere dil k kante hain
dil main dard daltay hain
phir bhi main unay pyar karta hoon
hawa se bachata hoon
jism main rakhta hoon
dukh aur raat se bachaye rakhta hoon
in k zakhm diye jala detay hain
kal aaj paunch jata hai
meri aatma se bhi pyari hain teri aankhen
jab kabhi main ye bhool jata hoon
aankh se aankh mil jati hai
mujhe yaad hai ek bar darwazay k peechay
sirf hum dono hi khaDay thay.


- -to be continued

This is a translation of the poem A Lover From Palestine by Mahmoud Darwish
Sunday, April 1, 2018
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success