Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi Poems

Khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho
...

itnii Khushbuu hai ke dam ghuTtaa hai
ab ke yuuN TuuT ke aayii hai bahaar
aag jaltii hai ke khilte haiN chaman
...

Andaz Hoo Bahoo Teri Awaz Pa Ka Tha
Dekha Nekal Kay Ghar Say Tu Jhonka Hawa Ka Tha
...

tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN
...

mujhse kaafir ko tere ishq ne yuuN sharmaayaa
dil tujhe de ke dhaRkaa to Khudaa yaad aaya
...

shaam ko sub'h-e-chaman yaad aa'ii
kis kii Khushbuu-e-badan yaad aa'ii
...

Ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
...

kis ko qaatil maiN kahuuN kis ko masiihaa samajhuuN
sab yahaaN dost hii baiThe haiN kise kyaa samajhuuN
...

ab to shahroN se Khabar aatii hai diivaanoN kii
ko'ii pehchaan hii baaqii nahiiN viiraanoN kii
...

Ahmad Nadeem Qasmi Biography

Ahmad Nadeem Qasmi, born Ahmad Shah Awan, was an Urdu and English language Pakistani poet, journalist, literary critic, dramatist and short story author. He wrote 50 books on topics such as poetry, fiction, criticism, journalism and art, and was a major figure in contemporary Urdu literature. His poetry was distinguished by its humanism, and his Urdu afsana (novel) work is considered by some second only to Prem Chand in its depiction of rural culture. He was also editor and publisher of the literary magazine Funoon for almost half a century. He received awards such as the Pride of Performance in 1968 and Sitara-e-Imtiaz in 1980 for his literary work. Background Qasmi was born in the village of Anga(Danga) in Khushab District, British India. He matriculated from Campbellpur in 1931, around the time when he wrote his first poem. Later he studied at Sadiq Egerton College in Bahawalpur. He graduated from the University of the Punjab, Lahore in 1935. He had a brother, Peerzada Mohammad Bakhsh Qasmi, and a sister. He became an active member of the Progressive Writers Movement as a secretary, and was consequently arrested many times during the 1950s and 1970s. He died on 10 July 2006 of complications from asthma at Punjab Institute of Cardiology in Lahore.)

The Best Poem Of Ahmad Nadeem Qasmi

Watan Ke Liye Aik Dua

Khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho

Yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon
Yahan khiza ko guzarnay ki bhi majaal na ho

Yahan jo sabza ugay woh hamesha sabz rahey
Aur aisa sabz ke jiski koi misaal na ho

Khuda kare ke na khum ho sar-e-waqar-e-watan
Aur uske husn ko tashvishay maosaal na ho

Har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka audhaey kamaal
Koi malool na ho, koi khusta haal na ho

Khuda kare ke mere ek bhi humwatan ke liye,
Hayat jurm na ho zindagi wabaal na ho

Aur khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho

Ahmad Nadeem Qasmi Comments

Ahmad Nadeem Qasmi Popularity

Ahmad Nadeem Qasmi Popularity

Close
Error Success