Tujhe Kho Kar Bhii Poem by Ahmad Nadeem Qasmi

Tujhe Kho Kar Bhii

tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN

tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
maiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN

sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
maiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN

vaqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
yuuN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuuN

dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko'ii le jaataa
main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN

ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuuN

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success