Zindagi Chalti Rahegi... Poem by kaavyaa kriday

Zindagi Chalti Rahegi...

Mausam aaye, mausam jaaye
chahe khushi chahe aasu laaye
ho patjhad ya bahaar
mile ikraar ya intezaar
hawa apna rukh kabhi toh badlegi....
zindagi ek kashti hai, chalti rahegi....

Koi achanak se aakar dil mein jo basse
jiske liye hum roye, jiske saath hum hasse
uska ek khayaal kar de galat ko sahi
uske hone se hum ho, na hone se kuch nahi
unki yaad humein har dam chalaati chalegi...
zindagi ek kashti hai, chalti rahegi...

Hum jo haare kabhi kisi mod par
ruke nahi, thhame nahi, haalaton se dar kar
Har mushkil, har chunauti ka kare himmat se saamna
aage bade, badte rahe yahi ho kaamna
Kismat bhi ek din apna sar jhukaayegi...
zindagi ek kashti hai, chalti rahegi....

Bandh aankhon se koi sapna jo hum dekhe
apni mehnat, apni lagan, har ummeed ko leke
kuch kar dikhaaye, sabke beech mein thoda naam banaye
thodi shaurat, thodi mohabbat hum bhi toh paaye
Duniya kisi din hamaara peechha karegi...
zindagi ek kashti hai, chalti rahegi....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
kaavyaa kriday

kaavyaa kriday

faridabad
Close
Error Success