Ye Yaadien Poem by shaina quereshi

Ye Yaadien

Kyu in ankhon ki muskurahat hai udne lagi...
Beinteha mohabbat jisse kiya tha,
Uski yaad aaj phir aane hai lagi...

Barish ke baad ki khilkhilati dhoop mein,
Hum dil khol ke baatein kiya karte the...
Yaad aati hai hume us bichowne ki,
Jispe pe baith hum kitne hi sukh dukh bata karte the...

Kahan kho gayi hain in aankhon ki hasi...
Kinki baith ke raah hai ye takti...

Pyar ki garmahat ki kami khalti hai...
Ankhon ki hasi lakh dhundte bhi nahi milti hai...
Wapas le aao us apne ka pyar...
Zindagi ki raahon pe bicchar gaye hai hum us yaar se...
Uska saath hi tha is bematlab zindagi ka sahara...
Uski dosti hi toh thi jo hamari himmat...
Kho baithe hai hum us yaar ko,
Zindagi ki inhi benam galiyon mein!

Juda ho gayi hai in haste hue naino se inki khushi....
Intezaar toh hai us yaar ki...
Ae dost ab mwuaf bhi kar de hume...
Kisi bhi galti ki bhi is judaai jaisi badi saza na de hume...
Juda hoke aapse hum reh nahi pate hai...
Kabhi muskurati hui in aankhon se aaj bas aansu hi behte jate hai...

COMMENTS OF THE POEM
john v 28 October 2008

subhan alla ireally loved this one

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shaina quereshi

shaina quereshi

lahore, pakistan
Close
Error Success