Uska Lehja Hi Badal Gya Poem by albert gautam

Uska Lehja Hi Badal Gya

ek chiraag jo hatho me maine liya
vo kamzarf chhute hi bujhh gya

apne ashko ki himayat me lau jalayi uski
zara sa roshan ky hua, uska lehja hi badal gya

aaftaab samajhne lga hai jo khud ko
samjhta hai ki aasman me chhup gya

mai bhi badal awaaraa hi hu
vo kha hai, dar-parda aasman hi mujhe ittlaa kar gya

uski bewafayi me jala mai itna
ki uske aasman ka aaftab ban gya

ab jo dushvaari se, bedastopi se aaftab hua hu
vo kisi raat ke aaghoash me mehtaab ban gya

Thursday, September 28, 2017
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success