Silsila- A Continuity In Hindi Poem by M. Asim Nehal

Silsila- A Continuity In Hindi

Rating: 5.0


Aankhon ki sharm mit gayi aur khoon safed ho gaya
Aaj ke daur mein rishton ka silsila bhi kuch ajeeb ho gaya

Milawat fiza mein thi toh phool kahan khilte
Rang aur khushboo usko kahan milte

Dhoop bhi ab khalis kahan aati hai
Hawayein zehar se bachkar kaise jaati hain

Kuch nafraton ko paalne ke liye humne
Apne ghar tabah kiye baithe

Tuti kashti ko virtually jodte hain
Paint aur brush lekar zamana tatolte hai

Hum in toote hue dilon ka ilaj ab
Facebook, twitter aur google pr khojte hain

Silsila rishton ke nahi maante ab hum
Likes aur dislikes ko toulte hain

Friday, January 1, 2016
Topic(s) of this poem: life,relationships
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
सिलसिला

आँखों की शर्म मिट गयी और खून सफ़ेद हो गया
आज के दौर में रिश्तों का सिलसिला भी कुछ अजीब हो गया

मिलावट फिजा में थी तो फूल कहाँ खिलते,
रंग और खुसबू उसको कहाँ मिलते

धुप भी अब खालिस कहाँ आती हैं
हवाएं ज़हर से बच के कैसे जाती हैं

कुछ नफरतों को पालने के लिए हमने
अपने ही घर तबाह किये बैठे

टूटी कश्ती को वर्चुअली जोड़ते हैं
पेंट और ब्रुश लेकर ज़माना टटोलते हैं

हम इन टूटे हुए दिलों का इलाज अब
facebook twitter और google पर खोजते हैं

सिलसिले रिश्तों के नहीं मानते अब हम
Likes और dislikes को तोलते है
COMMENTS OF THE POEM
Aarzoo Mehek 03 January 2016

Tuti kashti ko virtually jodte hain Pain aur brush lekar zamana tatolte hai Hum in ute hue dilon ka ilaj ab Facebook, twitter aur google pr khojte hain Silsila rishton ke nahi maante ab hum Likes aur dislikes ko toulte hain KaRwi haqeeqat, sad afsos... waqiye rishton ke naam par chand talkhiyan aur chand zarooratein reh gai., Ek ghar main rehkar bhi log virtual world ke zariye ek doosre se rabte main rehte hai.

2 0 Reply
T Rajan Evol 01 January 2016

Wah wah kya baat hai is silsile ki....Maza aya

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 01 January 2016

Really very interesting expression you have shared here. This reflects wise emotion. Fantastic poem.10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success