Shikayat Poem by Ankit Vaghasiya

Shikayat

Bahuto ko shikayat hai ki me bewafai pe nahi likhta, Aur me sochta hu ki me kisiki ruswai pe nahi likhta.
Khud apne se jyada bura, jamane me kaun hai,
Mai isliye auro ki Burai pe nahi likhta.
Duniya ka kya hai har hal me Ilzam lagati hai,
Warna kya bat! Ki mai kuchh apni safai pe nahi likhta.
Samandar ko parakhne ka mera nazaria alag hai,
Mijajo pe likhta hu, me uski gehrai pe nai likhta..
Maut ki kadvi ahato ko bhi parakh kar nigal leta hu,
Me 'AyusH' dosto, dusmano ki bad-dua pe nahi likhta..
_'Ayush' (Ankit Vaghasiya)

Wednesday, February 25, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Ankit Vaghasiya

Ankit Vaghasiya

vanthali
Close
Error Success