Papa Poem by Krishnakumar Mishra

Papa

Rating: 5.0

Jab Kabhi zindagi se mujhe fursat mil jati h..
Tab yaad mujhe aksar un palo ki ati h..
Jab aap mujhe apne kandho par ghumate the..
Jab aap mere liye ghoda tak ban jate the..
Mere bin kuch kahe hi Aap mere liye sab kuch le ate the..
Apke office jane k waqt me tiffin leke ata tha..
Usi bahane apke saath scooter ka chakkar me lagata tha..
Shaam hoti jab kabhi tab apke ane ka intezar karta tha..
Galti ki ho jab kabhi tab aapse bht me darta tha..
Maa ka vo kehna "Ane de papa ko" Jaan meri le jata tha..
Par apka pyaar se mujhe samjhana.. Is dil ko sukun de jata tha.. Homework me Kabhi jo kuch mujhe na ata..
Tab aap mujhe vo samjhate the..
Gandi handwriting ane par mujhe daant bhi lagate the..
Zindagi me jab kabhi me mayus ho jaya karta tha..
Tab aap mujhe haalato se lad kar jeena sikhate the..
Kehne ko log kehte h "MAA hoti h pyaar ka sagar" Par me kehta hu "Aap us sagar ka behta pani ho" Aap se hi meri ye zindagi h..
Aap hi meri zindagani ho.. -Krishna…

Papa
Thursday, September 22, 2016
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success