Ku Barf Ka Rang Bhi Laal Hua H Poem by albert gautam

Ku Barf Ka Rang Bhi Laal Hua H

sukoon se kabhi waabasta hua krta tha
kabhi tha ikhlaas hayat se vo
aaj nafrat se ghira h ku
ye cheekhe ye shor aaj h ku
ku barf ka rang bhi laal hua h
ku ulfat se anjaan hua h tu
savera bhi kala saya hai aaj
faqat mashiyat aaftab ki krta h tu
lahu ka aabshaar hua h yuu
maudlin ikhtiyaar pr hua h ku
khuda ke dr pr ye qahr hua h ku
kabhi musafiro ka aashiyan hua krta tha
kabhi tha anjaan tohubohu se vo
aaj qafas bn gya h ku
musalsal fariyaad aafsoon ki krta h ku
shikast hua h aavam ye yuu
ki har bashar bikhar rha h
sifar hai baki zehn-e-insani me
baatein ye qurbat ki krta h ku
vo haya vo lihaaz vo noor vo nazakat aaj bhi h
aaj bhi seher ke paimane me ruhaaniyat baki h
ye janta hu mai ki intezaar ek zia ka krta h tu
jo tadbeer de jaye tujhe or muqamal ho jaye tu....

Sunday, August 13, 2017
Topic(s) of this poem: chaos
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success