Kashmir Ki Aapbiti Poem by saloni yadav

Kashmir Ki Aapbiti

Me Hindustaan ka shringaar hu,
Par vivado ka me taar hu...
Bachpan mera bita teri khuniholi me,
Hazaar chithde bta hu me yha asla goli me..
[Aj kashim apna moun vrat tod kar kuch kahna chahta hai uske bare kuch achcha kuch bura]
Rajpaat ka shouk na mujhko,
Na aas lgata hu..
Jo bhi mujh par raaj kre,
me araj lgata hu..
Lhuluhaan ye mitti meri,
Lagti mujhko napaak hai...
Jane kya thi ghalati meri,
Jane kon gustaakh hai..
Chhato kitna banto mujhko,
Hay! me katata jata hu..
A Bharat! apne lahu se tera,
Me sindoor sajata hu...
Aj Diwali manata me kal,
Eid ban jaunga...
Ab na khna mere bachche,
Ki me shaheed ban jaunga...
Aansu mere aate to,
Me barf ban jata hu...
Apni chhati me,
Mein roj sheed sulata hu...
Meri barfili vadiyo me,
Surkh nazare bikhre hai...
Meri ghataoo me kayi saare,
Anmol nagine nikhre hai...
Kaisy ye jung hai,
Kya iska parinaam...
Na Allah ne bakhsha mujhe,
Na suljha paye Ram...
Aaj bhi hu janjeero me,
Na mujhko chain aram hai...
Tut chuka hu dekh dekh ke,
Ye kaisa katl-a-aam hai...
Aksar netaao ke bhashan me,
Mere namm kho jaate hai...
Bhukhe pyase rote hai bachche...
Fir thakate hai,
So jaate hai...
Kayi dashko se kahta aaya hu,
Ab to Dilli dur nahi...
Mere bachche marte is rakt ranjish me,
Ab aisy shahadat bhi manjoor nahi...
Na Muslim ka daaman hai,
Na Hindu ka sar par hath hai...
Kahne ko saaya hai Bharat ka,
[Par mujhe pta hai]
Mere bachche anath hai...
Kon hai dushman mera,
Akhir mujhko koi bta de...
Rang roop kaisa hai uska,
Mujhe uska koi pta de..
Yaha to mere apne hi hai,
Vahi roop vahi boli hai,
Aaj bhi hai aankho par patti,
Or vahi rakt ki holi hai..
Aaj bhi apna rakt dekh kar,
Me saham sa jata hu...
Darta hu ghabraata hu,
Or Bharat maa ko bulata hu...
Maa meri bholi hai na,
Wo sab samajh jaati hai..
Mere aansu pochhati hai wo,
Mujhe god me sulaati hai...
Aj bhi apne dil ki baat,
Me usko nahi bataunga...
Muskura dunga do pal uske saamne,
Fir pal pal mar jaunga...
Uske aansu schche hai na,
Me bahane kaise de sakta hu...
Uske to or bhi bachche hai,
Me ye kaise bhool sakta hu...
Kahta hai koi aisa ki,
Me ab tera nh koi gair hu...
Kaise samjhauu un nadaano ko ki,
Me isi mitti ka sher hu...

Saturday, January 10, 2015
Topic(s) of this poem: patriotic
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success