Kaisa Yeh Dar Hai Poem by akash sharma

Kaisa Yeh Dar Hai

Na jane is man me ek dar rehta hai
Na jane ye man kya kehta hai
Samajh me na aaye kya hai isme
Na jane ye sehma sa kyun rehta hai

Dil ki dhadhkane machal rahi hai
Haathon se jaan nikal si rahi hai
Kaaran samajh me naa aye kyun
Aankhon ki roshni dhal si rahi hai

Bicchadne ka gam tha ya naye daur ka darr
Mil rahi thi nayi manzil ya picche chhut raha tha ghar
Chal pade hai is raha par ab hum
Kahin par apne doston ko chhod kar

Sansar ka dastur to yahi kehta hai
Jo bhad jae aage vahi yahan jita hai
Na jane fir bhi
Fir bhi is man me ek dar sa rehta hai
Na jane kyun yeh sehma sehma sa rehta hai..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success