Hukm E Mader Poem by farhat zaidi

Hukm E Mader

MAI HUKM E MADAR E GARAMI BAJA KE DAIKHTA HOON
KEA MOUJZZA HAI IBAADAT KA KAR KE DAIKHTA HOON

ALI (AS) KAY ISHQ MAI SAAR KO JHUKA KE DAIKHTA HOON
ALI (AS) KAY RAB KA DAR KHATKHATA KE DAIKHTA HOON

KEA BAKSH DE GA WHO MUJH KO BHE QADER E MUTLEEQ
MAI APPNAY HATH DUA MAI UTHA KE DAIKHTA HOON

WHO SAMI UL ALEEM MERAY DIL KA HAL JANTA HAI
MAI GUNAHOUN PAY PASHEMAAN HO KE DAIKHTA HOON

WAZZU KEYA OUR MUSALAH BECHA DEYA MAI NAY
MAI APNAY KHALIQ KE QURBAT MAI JA KAY DAIKHTA HOON

SUNA HAI RAD NAHI KARTA KABHI KESI KE DUA
MAI RAKH KAY SAJDAY MAI SAR GERGERA KAY DAIKHTA HOON

YEAH KON KAHTA HAI KHALIQ NAZAR NAHI ATTA
MAI NOOR E KHALEEQ E MUSHKILKUSHA KO DAIKHTA HOON

WHO NOOR AYSA KAY ANKHOUN KO MERI TAAB NAHI
MAI ALI KAY ISHQ KA CHASHMA LAGA KAY DAIKHTA HOON

RAKHA JO SAJDAY MAY SAR KO BARAS PARAY AANSOO
MAIN JIBRAEEL KO OURTAY FIZZA MAI DAIKHTA HOON

KAHAN CHUPA THA SAMANDAR YEAH MERI ANKHOUN MAI
MAI APNAY AP KO HAYRAAN HO KE DAIKHTA HOON

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success