Hosh-O-Hawaash Poem by Sahir Nawaz

Hosh-O-Hawaash

Rating: 4.0


Hosh-O-Hawaash
Main Reh Kar Bhi Be
Hosh Hoon,

Kiya Aap Pochhte Ho
Kyun Main Khamosh
Hoon,

Kisi Gunaah Ka
Taswar Nahi Hai Mere Shaur Main,

Phir Bhi Be Gunaahi Main Roo Posh Hun,

Shayad Kisi Ko Aana Hai Jo Intzar Rehta
Hai,

Us K Aane K Liye Main ParJosh Hun,

Saans Laine Ki Mohlat
Nahi Milti Ghamoon Main,

Zakham Andar K Hein Main Santosh Hoon,

Gunaahgar Kahe Zamaana Uski Fikar
Nahi Mujhe,

Main Tu Apne Likhe Par Sahir Nirdosh
Hun,

Tuesday, July 15, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 17 August 2016

Hosh-O-Hawaash Main Reh Kar Bhi Be Hosh Hoon, Kiya Aap Pochhte Ho Kyun Main Khamosh Hoon, bahuth khoob bhai...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success