Himmat Bhari Ek Koshish Poem by Ankush Jain

Himmat Bhari Ek Koshish

Himmat Bhari Ek Koshish....
Chalo Aaj Hum Himmat Bhari Ek Koshish Karte Hain...
Toote Hue Rishto Ki Marammat Karte Hain...

Bahut Kia Intezaar Unke Do Kadam Chalne Kaa...
Chalo Aaj Hum Hi Ek Pahal Karte Hain....
Bhuj Gaye Hain Jo Diye Unhe Firse Roshan Karte Hain...

Na Jane Kaise Ek Ek Karke Sab Purane Dost Chale Gaye...
Nai Rahein Milti Gayi... Aur Kadmo Ke Nishan Mit Gaye...
Chalo Aaj Purane Rasto Ki Khak Chante Hain...
Tooti Hui Doriyon Mein Ganth Bante Hain...

Kyun Na Aaj Sare Ego Aur Ahankar Ko Darkinar Karte Hain..
Mil Jana Hain Isse Matti Mein Sabko Ek Din, Is Baat Ko Yaad Karte Hain..

Na Jaane Kaun Kis Baat Par Meri Rooth Gaya Hain Mhujse,
Aaj Unse Hum Hath Jod Kar Mafi Mangte Hain...

Chalo Aaj Toote Hue Rishton Ki Marammat Karte Hain....
Ek Himmat Bhari Koshish Dilse Karte Hain...

By: -
Ankush Jain

Thursday, January 1, 2015
Topic(s) of this poem: Friendship
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Ankush Jain

Ankush Jain

Dehradun
Close
Error Success