Himachal Pradesh: Devbhoomi (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Himachal Pradesh: Devbhoomi (Hindi)

Divya Zameen hai divya aasmaan
Himachal Pradesh hai devbhoomi mahaan
Himachal Pradesh hai meri shaan

Aao chalein hum Una wali devi ke dhaam
Jahan divya hai din or divya hai shaam
Yahan Mata Sati ke Charanon ka hai bakhaan
Aao bhakton hum Devi Chintpurni ka karein dhyaan

Aao chalein hum Bilaspur wali devi ke dhaam
Jahan banenge bhakton, sabhi bigde kaam
Yahan Mata Sati ke Nainon ka hai bakhaan
Aao bhakton hum Naina Devi ka karein dhyaan

Aao chalein hum Kangra wali devi ke dhaam
Jahan pe bhakton ka uncha hota hai naam
Yahan Mata Sati ke Vakshon ka hai bakhaan
Aao bhakton hum Brajeshwari Devi ka karein dhyaan

Aao badhein hum Kangra ke hi ik dhaam
Jahan prachlit hai Dhyanu Bhakt ka naam
Yahan Mata ki Jyotiyon ka hai bakhaan
Aao bhakton hum Jwalaji ka karein dhyaan

Aao badhein hum Kangra ke ik aur dhaam
Jahan Mata ne Chand-Mund pahunchaye yam-dhaam
Yahan Mata ke Rudra-roop ka hai bakhaan
Aao bhakton hum Chamunda Devi ka karein dhyaan

Divya Zameen hai divya aasmaan
Himachal Pradesh hai devbhoomi mahaan
Himachal Pradesh hai meri shaan

Tuesday, March 7, 2017
Topic(s) of this poem: mother land
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success