Haar Jata Hoon Main… Poem by Ashif Sid

Haar Jata Hoon Main…

Sochta hoon kucch aur, hota hai kuch aur,
Waqt ke zulmat ke aage, haar jata hoon main.
Raste hain bahut, manjilo ko paane ki,
Manjilo ko paane mein, haar jata hoon main.

Kosise rahti hai, ho na naaraz aai azeez,
Kosise karte karte, haar jaata hoon main.
Likhta hoon harf dil se, chubhte hai yeh unhe,
Harf ko samjhane mein, haar jata hoon main.

Dil ko samjhata hoon, rook le tasawwur ko apne,
Apne tasawwur ke age, haar jaata hoon main.
Akso ko samjhata hoon, na dikhawa kar is kaynaat mein,
Apne Akso ke age, haar jata hoon main.

Kitne aziz hai who log, najane kuin hote hai khafa,
Khafa hue ko Manane mein, haar jata hoon main.
Kitna aasan hai kahna, Naam ke harfo ko mita dete hai,
Dhadkan ban chuke hai woh, samjhane mein, haar jata hoon main.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success