Ghazl 3 (Urdu) Poem by Jahan Zeb

Ghazl 3 (Urdu)

Daawa e ishq bhi hay neend se lachari bhi
Kesey maanun hay tmhe ishq ki beemari bhi
Cheenti hay wo musalsal meri neendein o sukoon
Khoob lagti hay mujhay aap ki fankari bhi
Aankh ne jab bhi teri deed ka arman kiya
Kya kahun kitni hoyi meri dil azari bhi
Muskura kr ye kaha aaj teri aankhon ne
Khoob lagti hai mujhay aap ki ashkbari bhi
Siskiyan raat ko aksar mere ghar aati hay
Baat ho, Aaye agar aap dildari bhi
Khob detey ho mere dil ko dilasey tm dost
Aao. ho jao meri. ho jaye pasdari bhi

COMMENTS OF THE POEM
Farah Ilyas 09 May 2013

Muskura kr ye kaha aaj teri aankhon ne Khoob lagti hai mujhay aap ki ashkbari bhi wah wah kiya khob irshad kia ap ne

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Jahan Zeb

Jahan Zeb

Malakand Pakistan
Close
Error Success