Ghazal – Muskura Ke Dekh Poem by Akhtar Jawad

Ghazal – Muskura Ke Dekh

Rating: 5.0

Aa hale dil pe thode se aansoo baha ke dekh,
Main hans padoon agar to mujhe muskura ke dekh.
Yeh aankhen muskuraen gi inko mila ke dekh,
Yeh dil bhi hans pade ga ise gudguda ke dekh,
Jane ko dil na chahe ga chahoon ga isqadar,
Youn door se na dekh zara pas aa ke dekh, .
Hairan mehr-o-mah ko kardegi roshni,
Is thandi thandi aag mein tan man jala ke dekh.
Aa ja lutere loot le is dil ki daulatein,
Gar yun pasand aaoon to muflis bana ke dekh.
Main dekhte hue tujhe dekhoon hazar bar,
Nazrein utha ke dekh nigahein jhuka ke dekh.
Aati nahin hay neend to chupke se mujhko soch,
Lagta nahin hay dil to kabhi dil laga ke dekh.
Khud per hay aitmad to khud ko na azama,
Mujhper hay aitmad agar azma ke dekh.
Is ghairiyat ka mitna to lamhon ki bat hay,
Lamhon mein ek ghair ko apna bana ke dekh.
Apnon ki tarah dekh ya ghairon ki tarah dekh,
Tu jaise chahe dekh magar muskura ke dekh.

Monday, June 1, 2015
Topic(s) of this poem: smiling
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 06 June 2015

A diamond piece of ghazal. Read and enjoyed each and every lines. I like most. Many thanks.

2 0 Reply
Geetha Jayakumar 02 June 2015

Beautiful and melodious ghazal..... Apnon ki tarah dekh ya ghairon ki tarh dekh, Tu jaise chahe dekh magar muskura ke dekh. Loved reading all lines.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 01 June 2015

Khoobsoorat Ghazal, bahut achi hay..............10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success