Ghazal-Barham Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Barham

Rating: 5.0


Ay kash mujhe wuh neend aaye jo rat mein phir na toote kabhi,
subh ko jab main so ke uthoon wuh bichde mujhe mil jaen sabhi.
Han abbhi jag raha hoon main jane keyun neend aati nahin,
lekin tum keyun jagte ho aa jao sula doon tumko abhi.
Wuh jadoo abbhi tak bhoola nahin tum aao to cha jaye ga,
tum abbhi aa jate ho lekin bhoole bhatke kabhi kabhi.
Yeh hont sakat kho baithe hayn chup rehna acha lagta hay,
yeh aankhein abtak zindah hayn yeh bol rahi theen abhi abhi.
Chahat bhi keya jurm hay yaro na karte to acha tha,
Jinse muhabbat maine ki barham se hayn wuhi sabhi.

Sunday, January 10, 2016
Topic(s) of this poem: sleep
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

is nazm ki ek ek line anmol hai.......awesom 10++++.........................................................................

0 0 Reply
Shahzia Batool 13 January 2016

Wistful and nostalgic...voice of many hearts having a universal appeal!

1 0 Reply
Upendra Singh Suman 10 January 2016

Ay kash mujhe wuh neend aaye jo rat mein phir na toote kabhi, subh ko jab main so ke uthoon wuh bichde mujhe mil jaen sabhi. waah! bahut khoob, Janab Akhtar Sahab. Shukriya

2 0 Reply
Kumarmani Mahakul 10 January 2016

Such a sleep of love comes that does not break at all. What an amazing composition shared for reality of life. Really very interesting drafting shared.10

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success