Fazzael E Mola Ali (As) Poem by farhat zaidi

Fazzael E Mola Ali (As)

Mai nay poucha settaray se keun?
Tou kahen orr outtra nahi?

Hanss kay bola hai Quraan mai
Ek darr e hayderi ke sewa
Meri kaheen ko manzil nahi


Mai nay poucha ke ay zulfekar?
Keun ali pay he nazil howe?

Boli lahraa kay naddan sun
Teray mola ali ke sewa
Koi Fattah he kamil nahi


Mai nay poucha ay sooraj bata?
Kesay palta howa toujh ko kea?

Bola raab e ali ke kasam
Raza e ellahi ali ke sewa
Kise bhe banday ko hasil nahi


Mai nay poucha ay chanda batta?
Teray chahray pay likha hai kea?

Bola essm e ali hai likha
Who fazelat ka baher e karran
Jiska koi bhe sahil nahi


May nay poucha ay aya e wela?
Keun na uttri ali key sewa?

Boli kea tou nahi jjanta
Humaray mola ali ke sewa
Dosaraa koi hammil nai


Mai nay poucha aalam se bata?
Keun ali ko howa hai atta?

Bola neshan e shoujat hoon mai
Be kararoun ko milta nahi
Kitnay jagay ya ghael howe
Yeah tou meray massael nahi


Mai nay poucha ay kaa'ba bata?
Keun ali toujh mai mowaleed howa?

Bola marzi hai malik ke yeah
Yeah fazelat ali he ko de
Iss may koi bhe shaamil naho


Mai nay poucha ay mulla batta?
Meray mola se jjalta hai keun?

Bola haan bas yeahi bat hai
Mera sena jjalati hai jo
Tera mola tou hai shahenshah
Keun mera peer kamil nahi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success