Ek Pal Maan Ke Santh Poem by sanjay kirar

Ek Pal Maan Ke Santh

Ek Pal Maan Ke Santh

maan tu kyo udhas hota hai,
jabki koi tere aas-paas hota hai,
hawa ka koi jaana pahchana jhokha hai,
ya vakt ne ghadi ko diya dhikha hai,
karuna o karuna se maan
khud ko chhu jaata hai,
jab 'main' ko 'hum' se door
our akela pata hai,
tere hisse ke chhao,
pakhar chali dhup ke pao,
dhadkano main shithilta, baichini
gale laga kar soi,
ye kya kaat raha hai
ye fasal tune boi.

-sanjay kirar

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success