Ek Khwaish (Urdu Shayari) Poem by Shams Abdal

Ek Khwaish (Urdu Shayari)



Ek khwaish hai jhalak mil jaye us chehre ki, ,
ke is deedaar ke baad koi tamanna na rahe...

ek khwaish hai us dil tak pahunche sadayein,

ke do dilo ki dhadkano me koi doori na rahe...

ek khwaish hai rishta jood jaye us naam se, ,
ke phir juda rehne ki koi majboori na rahe...

ek khwaish hai wo pyar mile unse, ,

ke is dil ki koi aur arzoo na rahe...

ek khwaish hai wo haath tham le is tarah,
ke phir is dil ki koi kamjori na rahe...

ek khwaish hai ke laut aaye wo,
ke phir intezar ki koi wajah na rahe...

ek khwaish hai bhar jaye khushiyon se daaman,
ke kisi gham ki koi jagah na rahe...

ek khwaish hai sang chale wo umar bhar mere, ,
ke phir kisi aur ka aasra na rahe...

ek khwaish poori ho jaye her khwaish is dil ki, ,
ke phir khuda se koi iltezaa na rahe...

ek khwaish hai maut aa jaye unki baahon me, ,
ke phir zindagi se koi shikayat na rahe.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success