Dur, This Is A Translation Of The Poem Fear By Hans Raj Sharma Poem by Ravi Kopra

Dur, This Is A Translation Of The Poem Fear By Hans Raj Sharma

main ek chooay ko dekhta hoon
pehalwan bana ek billi ke samnay baitha hai
naach raha hai, kood raha hai
idhar udhar bhaag raha hai

ab main ek billi ko dekhta hoon
ek kuttay k pichay bhag rahi hai
uska kaan is nay cheer liya hai
har taraf hai khoon hi khoon

ab main ek sher ko dekhta hoon
bada sharmila hai, kuttay k pechay pada hai
bhed k peechay nahin, usay choota bhi nahin
chup chaap sher fisil kar door bhag jata hai

ab main ek bhains ko dekhta hoon
seengon par sher utahay khadi hai
door phenk deti hai sher ko
aur bechaara sher dar kar bhag jaata hai


ab main purshon ko dekhta hoon
jaldi main bhaag rahain hain
dur main mar rehain hain
kisi khaufnaak baat se nahin
fizool ki baaton see, be-khatray ki parchaon se



- a humble tribute to Shri H.R. Sharma Ji

This is a translation of the poem Fear by Hans Raj Sharma
Saturday, October 28, 2017
Topic(s) of this poem: fear,poem
COMMENTS OF THE POEM
Close
Error Success