Dil Ka Khalipan! ! ! ! Poem by ANJALI KAKATI

Dil Ka Khalipan! ! ! !

Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai
Dil ka khalipan
Na jaane kya chahta hai..

Jal mei bhi pyasa hai
Poora hokar bhi aadhoora hai..

Ye begana aakhir kya chahta hai..

Ghar ki chat ke neeche hokar
Bhi hai beghar..
Manzil pakar bhi bemanzil..

Aakhir banzara yeh mann,
Kyun galiyon me bhatakta hai..

Bhara bhara sa har waqt,
Phir bhi hai khali..
Jhake har manzar manzar
Gali gali..

Aakhir ye mann kya dhoondhta hai?

Kyun har lamha hai
Raste me nazaree gadhaye..
Kiske intezar mei
Palke beechayee?

Dil ka khalipan
Aakhir kya chahta hai?
Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success