Aei Ajnabi Poem by ANJALI KAKATI

Aei Ajnabi

Rating: 3.8


Aei ajnabi
Kyon tum mujhko
Itne aapne se lage?

Ki jante the janmo se
Tum ko
Iitne chir parichit lage.

Yo to
Sath hota hai chand lamho ka
par kyo ye sath tumhara
hume sadiyo ka sa lage?

Aei ajnabi
Kyon tum mujhko
Itne aapne se lage?

Na to nayana mile
Na hi kabhi tan mile
Phir bhi man tumhara
Na jane kyo itna
Aapna sa lage.

Kahne ko hum hai paraye
Tum bhi na jane kaha se aaye
Phir bhi na jane kyon
Tum sang aant tak
chalne ka dil kare.

Aei ajnabi
Kyon tum mujhko
Itne aapne se lage?

Jante hai hum
Tumhara rasta hai dooja
Humara doosra
Shayad
Ek din humko
Tumse duur hi hai jaana
Par kyoun
Inehi raasto me thahar jaane
Ka mann kare

Aei ajnabi
Kyon tum mujhko
Itne aapne se lage?
-anjali

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 29 August 2014

Kutch nate pichle janam ke hote hayn aur kutch agle janam ki jhalkian. Anjali aap ki yeh geetanjli aakash se utri hui koi apsara si lagi.

0 0 Reply
Mahfooz Ali 21 December 2011

Anjali... aapki poems padhin.... hindi and english both..... aap HIndi mein kyun nahin likhtin.... bahut achcha likha hai aapne... isko hindi blog mein likhiye bahut achcha response milega.... Regards....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success