Desire.... Poem by Pradeep Pathak

Desire....

Us paar ka kinara,
Udaas hoker-
Is paar ke kinare se puchta hai.
Tu door se mere khwaab kuchalta hai.
Tu lehron se ranjish kerta hai.
Aub jawab de-
Kyun aankhir herdum sergoshi si kerta hai?
Kinara pal bher ke liye sehma-
Aur fir muskura gaya.
Bola dard ke rishtey se-
Aaj tu bhi mila hai.
Ye ilzaam nahi mukaddar hai tera-
Ki her kinare se door rehker-
Tu bhi yahin khojta hai.
Kisi doosre kinare ko dard ka maanjhi bolta hai!
Mera bhi haal kuch esa he hai yahan....
Per idher na ranjish hai aub-
Na dard hai koi.
Aur na he aub ehsaas koi machalta hai.
Shayad naseeb he aub-
Sub khwaab humaare kuchalta hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success