Chaand Aur Daag Poem by Always Aparna

Chaand Aur Daag

Rating: 2.1


Raat Ke Chaand Ko
Dekh Rahi Thi Main
Chaand Ke Daag Ko
Dekh Rahi Thi Main

Raat Ka Chaand Hai
Kitna Pyaara ~
Shayad Daag Ne
Chaand Ka Hai
Chehra Sanwaara
Daag Bina Chaand
Hai Kitna Adhoora

Chaand Aur Daag Ke
Madhur Milan Mein
Sitaaron Se Bhari
Chaandni Ke Aangan Mein
Apna Saaya -
Dhoond Rahi Thi Main

COMMENTS OF THE POEM
Bharat Mehru 04 March 2012

Zordar nazm hai sahab, sitaare gar dekh paate apane apane dag, to bheer bhari raat me chaand tanha n hota.Thank you very much for reviving my subconscious.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success