Bimaari Poem by Shambhu Dan Mehru

Bimaari

Rating: 4.5

Mere liye mat thahrna
kyoki tumse
milne ke liye
mujhe upar uthana padega
mein
kuchh dooba hu
kuchh doob jaunga
pani ki laqeer ki tarah
sookh jaunga
yu chaha nahein kabhi
tooti hue aasha ko
santushti ki sangya dena
suna hai
gali- gali phool bechne wale ko
T.B. ki bimaari ho gayi
mujhe fefadon ki bimaari se
sakht nafarat hai
tabhi to peeta hu
zigar ki bimaari ke liye
aur bina bimaari
jeene me maza kya hai?
issi bimaari se
ye Marwaadi seth
roz kholta hai
apani byaaj ki dukaan
iss suraj ko bhi
roz ugane ki
bimaari hai.

3 March 1973
Bambai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success