Bhartiya Sabhyata Ki Badalti Tasveer Poem by pooja kumari

Bhartiya Sabhyata Ki Badalti Tasveer

Rating: 4.0


Tulsi ki jagah money plant ne le li,
chacha ji ki jagah aunt ne le li.
pitajee jeeteji dad ho gaye,
aage or bhi hai aap toh abhi se glad ho gaye.
bhai bro ho gaye bahan ab sis ho gayi,
dada dadi ki toh halat tay tay fiss ho gayi.
buri buri dasha paricharako ke mister ki ho gayi,
bechare ki toh Bivi bhi sister ho gayi.
TV ki saas bahu me saap nevle ka rishta hai, ye ekta kapoor aurat hai ya farishta hai.
jeeti jagti ma bachcho ke liya mummy ho gayi,
roti ab kaise achchi lage maggi jo itni yummy ho gayi.
bahut dukhi hu mai, dil ye dekh kar toot jaata hai,
apno ke dwara he bhartiya sabhyata ka mazak udaya jaata hai.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Hamara Bharat kis tarah badal rha hai.
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 22 August 2016

Wah Bhai wàah....kia kahney hai...maza aagaya

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success