Baal Majdoor Poem by Pranjali Aloni

Baal Majdoor



Yeh nanhe nanhe baal majdoor
Ho gaye inke sare sapne choor
Inhone bhi sajaye the kuch sapne
Ki kabhi khush bhi honge apne
yeh kaisa andhkar ka saath hai
jo laga in baccho ke haath hai

Inme bhi hai kai bahut hoshiyaar
Par kar na paye apne padhne likhne ke swapna sakaar
14 varsh tak zaroor shiksha milegi kiye aise vade
Lekin kya mil rahi hai in baccho ko kitabe
Jis umra me jana chahiye inhe school
Us umra me bech rahe hai ye fool

Kaash is samaj me kisi ki aankhe khule
taki ye bacche bhi padhe aur fale fule
Kailash sathyarthi ko to mil gaya purakskaar
Lekin kya in baccho ko mile unke adhikaar

ab sab se yahi savaal karenge
ki kab in bal majdooro ke jeevan sunhare banege

Friday, March 27, 2015
Topic(s) of this poem: social comment
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
this poem is dedicated to the bad customs of the society. Through this poem i just want to pound these bad customs
COMMENTS OF THE POEM
chinmay sant 02 September 2021

beautiful

1 1 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success