Arzoo Poem by Mirza Sharafat Hussain Beigh

Arzoo

Khushboo se mehakta aisa hi sansaar hota
ye mosam mere yaha har baar hota

tujhe manaana baar baar sirf hunar hai mera
tera roothna phir kis qadar dushwaar hota

tu kar chuka hai soda emaan ka, ehsaas ka
bawajood iske tu kabhi sharamsaar hota

fakhr e talwaar wo, qatil e kufaar hota
youm e ashoor hamrah Hussain ke Mukhtaar hota

tu haar chuka hai baazi Sharafat ki jung me
tere lashkar me paida koyi khoonkhwar hota

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: desire,love,lust,yearning
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success