Bisma Mirza

Bisma Mirza Poems

Meri ma app kitni Achi lagti hayn,
Aap ab bhi suder lagti haiyn,
Aap ab bhi peyari dikhti hayn,
Aap aasman jaisi hayn par zammen par rahti hayn.
...

Five years passed,
My repeater doll was sleeping somewhere,
While I was looking for a book,
I saw my friend,
...

The Best Poem Of Bisma Mirza

Meri Maa Tujhe Salam

Meri ma app kitni Achi lagti hayn,
Aap ab bhi suder lagti haiyn,
Aap ab bhi peyari dikhti hayn,
Aap aasman jaisi hayn par zammen par rahti hayn.
Jab maine hosh sambhala,
Khudko aap ki bahon mayn paya,
Aap hi ne mujhe pala posa bara kiya,
Aap hi ne mujhe apne quadmon pe khara kiya,
Keyon ke meri man majboor apne halat mayn,
Har subh mujhe aap ke pas chor aati thi,
Aur phir sham ko laut kat aati thi,
Aur mujhe apne ghar le jati thi.
Meri maa ek working woman thi,
Aaur aap meri maa ki maa meri maa ban gayeen,
Jab koi aap ko meri nani kehta hay,
Mujhe bahut bura lagta hay.
Meri maa to aap theen,
Aaj bhi aap hi hayn,
Aur kal bhi aap hi rahen gi,
Mera aaj ka din aap ke nam,
Aur aapko mera salam.

(On Happy Mothers Day)

Bisma Mirza Comments

Akhtar Jawad 11 May 2014

A nice poem. Welcome Bisma.

2 0 Reply

Bisma Mirza Popularity

Bisma Mirza Popularity

Close
Error Success