Yaadein.... Poem by Jyoti Joseph

Yaadein....

kuchh lamhein hai baaki,
kahin door se bichhad jane ka paigam aa ya hai,
ab nahin hai shikayat kisi se,
hum to bas haalaat ke staye hue hai,
khun se likhi thi pyaar bhari daastan kisi ki,
sajayae the ghar bhar aagan,
bichhae thi phoolon ki chaadar unke swagat mein,
par waqt guzarte gaye, haalaat bhi badal gaye, woh bhi badle,
bas khade the hum waqt ki rahon par,
seene mein zakhmo ka zakeera liya,
ab to sab kuchh hai tayyar, tayyar hum bhi aur tum bhi,
zindagi ki gaadi bhi hai tayar siti bajane ko, bas kuchh lamhe hai baaki...

agar de sakte hoto to dedo, mujhe chand pal udhar,
tumhari waqt ki tijore se,
ghum aau phir ek baar, guzri hui yaadon ke ateet ke kinare,
naap lu ek baar milne se bichhadne tak ka safar,
sama lu guzra hua ek-ek pal, bichhda hua ek-ek- lamha,
samet lu saare mithe mithe dard...pyaar bhare sabhi ehsaas,
phir na to hogi koi shikayat..na koi khwaish.
hogi to khali dua hi hogi..teri har kamyaabi ki chahton mein,
ab to bas alag rahein ke do musafir hai hum,
sapno ki duniya mein dher saare armaan lekar,
jahan tere liye maan hoga, shohrat hogi,
naye log naye sapne hoge,

aur main.............................


chalti rahungi anjaani si,
badnaseebi ki raahon par ek-ek kadam,
manzilo ki talashte hue,
tanhaaiyon ka zeher peekar.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success