Yaade// Poem by shambhu nath

Yaade//

Rating: 4.0

ye bhooli bisari yaade kab tak aati rahegee
rah rah karke mujhako tarpati rahegee
chhoti chhoti aankhe ye kale-kale baal
kaisi o muskan thee mand mand chaal
ye rang birange raat ab jaati rahegee
ye bhooli bisari yaade kab tak aati rahegee
mujhe tiree ab kam yaad aayegee
kal parso me meri doli jaayegee
teree sanso ki khusboo mahkati rahegee
ye bhooli bisari yaade kab tak aati rahegee
is jiwan me aisaa kyo hotaa hai
jab saathee chute to dil rota hai
shayad tere jaane ke baad meri arthi jaayegee
ye bhooli bisari yaade kab tak aati rahegee

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

ye bhooli bisari yaade kab tak aati rahegee rah rah karke mujhako tarpati rahegee chhoti chhoti aankhe ye kale-kale baal kaisi o muskan thee mand mand chaal.. wah...bada josheela andaz hai....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success