Tumbhi Darte Ho Ke Urian Nazar Aaoge Mujhe Poem by Akhtar Jawad

Tumbhi Darte Ho Ke Urian Nazar Aaoge Mujhe

Rating: 5.0


Kitne baqi hayn jo dushnam lagao ge mujhe,
Chor dein ge mujhe aansoo jo rulao ge mujhe.
Tumne khawabon mein bhi ek dard hi dena hay mujhe,
Tum to sote mein bhi aa ke satao ge mujhe.
Main to so jaoon ga wuh neend ke toote na kabhi,
Tum hi ro ro ke magar phir bhi jagao ge mujhe.
Kabhi aa jao to parde se nikal kar bahar,
Ek jhalak apni kisi din na dikhao ge mujhe.
Main to maykhwar na tha tumne yeh keya kar dala,
Apne hathon se magar tum na pilao ge mujhe.
Yeh to socho ke khilauna hay agar toot geya,
Kisqadar qadmon mein yun apne jhukao ge nujhe.
Keyun yeh kahte ho ke sijdon mein na band hon aankhein,
Tumbhi darte ho ke urian nazar aao ge mujhe.

Tuesday, September 1, 2015
Topic(s) of this poem: tease
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

lajawab gazal...10++ Kabhi aa jao to parde se nikal kar bahar, Ek jhalak apni kisi din na dikhao ge mujhe.

0 0 Reply
Khalid Saifullah 01 September 2015

Khoobsoorat, lajawab, bahut achi ghzal.................................10

1 0 Reply
M Asim Nehal 01 September 2015

Wah Wah........ Janab aapne Kya umda ghazal likh dali Woh jisse humne kabhi dekha bhi nahi Uski ek nayab tasveer kyun bana dali woh jo mil jaaye agar un se kaise milenge ab Yeh jo uriyan ka khayal hai, kahan se laayi hai yeh baat nirali..... Some lines are amazing: Keyun yeh kahte ho ke sijdon mein na band hon aankhein, Tumbhi darte ho ke urian nazar aao ge mujhe.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success