Tum Rutha Na Karo(Hindi) Poem by Jay P Narain

Tum Rutha Na Karo(Hindi)

Jab tum mujhse ruthti ho, badi soona lagta hai,
tum mujhse naraj hoti ho,
fir kabhi batten na karne ka wada karti ho,
bhingi palko me dil ka dard dubo leti ho.

Jab tum mujhse ruthti ho, badi soona lagta hai,
jab mai tumhe manane ke liye ek phool bhet karta hoon,
tum use fenk kar be dil se swikar karti ho,
main sochta hun ki kash mai bhi ek phool hota,
jindagi ke safar me tumhe khus kar apni jindagi safal karta.

Jab tum mujhse ruthti ho, badi soona lagta hai,
hamare rishte kache dhaago se bhi najuk najar aate hain,
jab main ankhe mila kar tumse baaten karne ki kosis karta hoon,
tumahri adhoori mushkaan mujhe zinda dile qatl kar deti hai.

Jab tum mujhse ruthti ho, badi soona lagta hai,
main tumhe apni bahon me le phir kabhi tumhe naraj na hone dene ki kasame khata hoon,
Jab balon ki kali ghata se tumahri chehre ki khubsoorti naikahrti hai,
main to tumhi me chaand dekhta hoon, aasman ke chand ko bhool jata hoon.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success