Socha Na Tha! ! ! ! Poem by VaRuN JaIn

Socha Na Tha! ! ! !



Kabhi socho zindgi aise ho jayegi….
Sapno ki kahani haqeeqat ho jayegi…
Dekha tha sada jisko khawabo mein
Aaj wo mere saamne ajayegi

Intzaar kitna kiya meine
Kitna beetab dil tha mera
Ab ye faasle ye dooriya
Ba chand lamho mein mit jayegi

Oos ki boodndo ke jaise thi sundar
Muskurana uska jaise khlita hua kamal
Baatein karti to jhadete the moti
Wohi baatein ab meri shayeri ban jayegi

aise iss dil ko dhadkna seekhyaa
jaise Kud kuye ne paas aaker pyase ko pani pilaya
humne to dil ko patahar bana liya tha
kya pata tha ke wo patahr pe bhi apna naam likh jayegi

kabhi jo lamhe saath guzare the
jitney bhi saath hue wade humare the
ab ek guzra kissa hai
jinki yaadein ab mujhe tanhaiye mein tadpayengi


saath rehna naseeb mein nahi tha agar
milna kyun hua humara iss terha se
mujhe kabhi koi khabar bhi nahi thi
wo iss terha se mera saath chod jayegi

kaato per chal ker bhi muskurana aata hai mujhko
dard mein bhi aakho ka pani rokna aata hai mujhko
lafzo mein baya kaise karoo mein ye halat apni
mujhe kya pata tha ke zindgi kabhi aise mod per layegi


dosti hume ki hai hum nibhate bhi rahenge
kud hase ya na hase pa rtumko sada hasate rahenge
sada muskura ker jeena tum seekh lo
nahi lo lagta hai ke royoge tum aur saase humari band ho jayengi

chand ko mein jab dekhta hau raat ke andhere mein
tanha kitna hota agar na hota taaro ke gheere mein
kya wo sochta hoga savera hone per
kyun akela chodker mujhe chandni chali jayegi



tahana jitna hu mein abhi pehle kabhi mehsoos nahi hua
kabhi kabhi meien kissi ki aahat ke ehsaas ko suna
aankh band ki to chehra wo hi nazar aaya
kya pata ek tasveer ab taqdeer meri ban jayegi

COMMENTS OF THE POEM
Kanika Gupta 20 January 2009

this is really a nice poem....

0 0 Reply
Gitika G 20 January 2009

hey this is the best one.................too good

0 0 Reply
Seema Jain 13 January 2009

waise tum sochane kab se lage........this poem is very nice......bas galtiya sudhar lo apni! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success