Sipahi Aur Samanya Manav Poem by Rohan Bendre

Sipahi Aur Samanya Manav

(Dwar Khulta Hai)

Samanya Manav- Thos Kadam ki hai Avashyakta Akraman ki Pratiuttar ki hai Shigrata.

Sipahi- Mere Mitra se hoon main Sahmat Yadi is Vishay main har Samanya Manav Dikhata hai
Ek Samanta Tab Suraksha main hogi Shigrata.Is Vishay ki itni hai Tatkalita.


Samanya Manav- Yadi Pakistan ki Udandata se ho tum Bhalibhanti Gyat To unke virudh Thos Kadam hi rah jata hai Ek Vikalp Paryapt.


Sipahi- Tumhare Vichar se hoon main Sahmat Kintu keval Sipahi ka nahi yeh UttarDayitva. Suraksha hetu Har Gatividhiyo ki Jankari dekar Tumhara Yogdan bhi ho sakta hai ek samaan.


(Sipahi Jari Raktha Hai)

Tab Desh ki Pragati main hogi Shigrata Jab Samanya Manav ke Yogdan main hogi Ek Samanta.


Samanya Manav- Ek Taraf Chunav Ka Dabav toh Doosri taraf Yeh Akraman Kya mera Desh le raha hai Zukav?


(Sipahi Asvikar karta hai)

Keval Virodh kar Tum nahi kah sakte ise Vishesh Avashyakta. Bahut hi Avashyak hai Sakaratmak Vichar ki Avashyakta.


(Sipahi Jari rakhta hai)

Jab Ekjut Hokar dega Samanya Manav Ekta ka Rup Tab Un Mut Nagriko ko nyay ke rup main ayega Tumhare Yogdan ka Pratirup.

Samanya Manav- Tumhare is Kathan se Main bhi hoon Sahmat Kintu Yadi Samanya manav ko dena hai Yogdan Mujhe bataiye mitra Desh ke Pragati main kaise de sakta hai Samanya Manav Mahatvapurna Stan.

Sipahi- Keval Virodh kar nahi kar sakte tum Yogdan se Sambodhit Virodh ke Sath Sath Apne Desh
ko Sudharne hetu raho sadaiva Upasthit. Apni rai dekar Lao Desh main Sudhar. Asha hai Vyarth
Nahi jayega mera Udgar.


(Sipahi Jari Raktha hai)

Har Gatvidhiyo ko Upkaran dwara Karo us Karan ki vishesta ko Prasidh.Avashyak hai is Karan ka
Mahatva pahuche Jan Jan Keval Logo ko Jagrut Karna hai tumhara Ekmatra kintu Kathin Prayojan
Yadi Upkaran nahi hain Uplabh to Vartamanpatra evam Vichar Vivash kar Faila sakte ho tum apna Shabd. Keval Jan Jan tak apna Shabd Pahuchana Hai tumhara Udhesh.Ekta ke rup main Pahuchega
Sandesh.Apne desh ke prati dikhao Dudhta Evam Tatkalikta,
Sipahi- Jab Ekta ke rup main Samanya Manav dikayega Dudhta

Samanya Manav- Upyukt Nirnay ki hai sabhi ko pratiksha.


(Dwar Band hota Hai)

Pakistan ke Dwara Seema ke par Hone wale Akraman ke Virudh Apni Awaz buland kar apna Yogdan de.

Friday, October 10, 2014
Topic(s) of this poem: patriotism
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success