Shabaab (Youth) Poem by Mohammad Muzzammil

Shabaab (Youth)

Waqt ki andhiyon me udta ek khwab hai,
Zeest ke nisab ka ek haseen bab hai,
Jahan ki taqaton ka jo bus ek jawab hai,
Han yahi shabab hai, han yahi shabab hai.

Dagmate hain qadam antheron aur ujalo me,
Fans ke rah gaya her shakh husn ke sawalon me,
Zikr hai tera subh o sham ishq karne walo,
Chalte hain rahon me bus apne hi khayalo me.

Her qaum ki azmat ka wo jo ek nishaan hai,
Her inqalab ka jo hai dil aur uski shaan hai,
Rah-e-haq me badhne ko yun to her ek qurbaan,
Hai Khuda ko bhe fakhr agar aya koi jawaan hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success