Phir Na Kijiye Baat Tanhai Ki! Poem by Shagun Khera

Phir Na Kijiye Baat Tanhai Ki!

phir na kijiye baat tanhayi ki..
ke kati nahi hai ab tak shab, ranurizat -o-ruswai ki..

mere dil ko tatolte ho par itna jaan lo,
na sun sakoge dastaan is rabt-e-gam, sauduai ki..

woh gaya tha chord ke ek roz mujhe sare rah,
ruki pardi hai ab tak waha..mere saath meri parchai bhi..

yaad karu usse to naseeb se shikayat hoti hai,
kashmakash ban kar reh jaati hai..phir baat bhi khudayi ki..

nahi woh kareeb, to kya aasar visaal - o - tabassum ke..
ke rehti hai meri khushi bhi aajkal kuch ghabrai si..

maine ek roz sambhalne ki koshish kari thi,
gira kar lipt gayi mujhse..mere hosh ki beparwahi bhi..

woh charagaar tha mera, who tha mujhse aashna,
phir na jaane kis baat par, usne bhi bewafaai ki...

chake-e-jiagr, badhaali-e alam ko dekh kar sochte hai hum 'aurak'
zindagi aata thi mujhe, ya phir kisi maatam ki karwahi thi...

phir na kijiye baat tanhai ki..
ke kati nahi hai ab tak shab, ranzuriat-o-ruswai ki...

phir na kijiye baat tanhai ki...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success