Pankh Hote To Main Udd Jati...* Poem by KAVITA SINGH

Pankh Hote To Main Udd Jati...*

Rating: 4.7

Kavi itrati kavi ithlati,
ban ke vihang gagan me udd jati..
Jati-dharm se pare ho jati,
Sapno ki nayi duniya banati
Pankh hote to main udd jati…………


Tere -mere ki chahat na hoti,
Gairon ki koi aahat na hoti,
Na pane ki khushi, na khone ka darr
Na vasta kisi se, na rishton ka sahar.
Moh -maya se dur ho jati
Pankh hote to main udd jati….


Na karti kavi sikwa kisi se, na hota kisi se bair,
Us mukt-gagan me rahti main, hoke Swatantra
parwat, nadiyan, badlon ko chhu jati
pank hote to main udd jati……

Wo grishm ritu ki maar, fir barishon ki bauchhar
Wo sard ritu ka pyar aur basant ki bahar
Sab rituon me main dhal jati
Pankh hote to main udd jati…..

Tuesday, August 9, 2016
Topic(s) of this poem: desire
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 25 August 2016

Tere -mere ki chahat na hoti, Gairon ki koi aahat na hoti, Na pane ki khushi, na khone ka darr Na vasta kisi se, na rishton ka sahar. wah waah...kia kahney hai....bahuth khoob...mouzoo bhi bahuth umda hai...bright future....thanks for sharing.

1 0 Reply
Abduhoo Salamath 27 August 2016

app ke new poem padhne be thihasha muntazir hun...

0 0
Ajay Kumar Adarsh 24 August 2016

ati sundar.... sach kahata hun... is kavita ko padhte huye, bich men ruk kar comment kar raha hu, adwitiya(jiske saman koi nahin..) . yah kavita behad hi marmik aru dil ki gahrayi se nikli huyi, punah(fir se) : dil ki gahrayi me utar jati hai... Kavi/kavitri- -]pathak) . bahut hi lajawab likha hai aapne, kavita, Kavita g 10+++

1 0 Reply
Ajay Kumar Adarsh 24 August 2016

ati sundar.... sach kahata hun... is kavita ko padhte huye, bich men ruk kar comment kar raha hu, adwitiya(jiske saman koi nahin..) . yah kavita behad hi marmik aru dil ki gahrayi se nikli huyi, punah(fir se) : dil ki gahrayi me utar jati hai... Kavi/kavitri- -]pathak) . bahut hi lajawab likha hai aapne, kavita, Kavita g

1 0 Reply
Unnikrishnan E S 10 August 2016

Hi Kavita, Sapnon ke pankhom me uddne aapki khwaayish padha mein ne is kavita mein. Na paane ki khushee Na khone ka darr Loved reading. A full 10++

1 0 Reply
Kavita Singh 11 August 2016

sukriya..

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success