Maa Ki Mamta. Poem by saif gallant

Maa Ki Mamta.



Choti si thi mai, Wo gale lagakar roya karti thi.. kehti thi bohot si baaten wo mujhse Bohot se sawaal bhi kiya karti thi
na jaane kya kya Ghum liye bas jee rahi thi wo ek aisi duniya me jaha uska koi nahi
Bas ek pyaar Ki Talash thi usse aur mila wo hi nahi..

Kabhi haste haste wo roya karti thi
Kabhi rote rote hasa karti thi
na jaane Kya Paana tha usse
bas apne baccho k liye jiya karti thi..

Koi umeed na thi kisi se na tha koi sahara uska
Bas apne hi khayalo me Jiya karti thi
magar mujhe wo sabse zyaada pyaar kiya karti thi...

Aaj uski Surat to nahi dikhti magar Uski aahat zaroor mehsus hoti hai
Aaj Uski awaz to nahi Sunai deti magar Uski Baaten zaroor yaad aati hai

kitna kuch keh gayi wo humse Kabhi kuch na kehkar magar Us aakhri waqt me Maine sab kuch sunliya tha Usse apne gale lagakar..

Sunday, May 13, 2018
Topic(s) of this poem: mothers day
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
It's a poem written by Sana sheikh, she narrates her love with her mother who unfortunately died when she was very small. It's just a heart soothing poems which can be echoed and read with background scenes in your imagination.
COMMENTS OF THE POEM
shaikh moin 02 June 2018

Awesome poem SAIF Brother

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success