Kuch Tum Bhi Kaho! Poem by Aarzoo Mehek

Kuch Tum Bhi Kaho!

Rating: 5.0

Sab akhbaron ke panon par
Kuch khaufzada tasveerein hai
Berang si kuch tehreerein hai
Wahshat hai khauf hai ankhon main
Umeed ke bandhan toot gaye
Aur amn.o sukoon barbaad hua
Ab kaisi talab hai ankhon main
Sahma hua aur shikasta dil
Insaan khala main takta hai
Jis shahar main pyaar tha chahat thi
Us main kuch bhi ho sakta hai
Dukh dene main dukh sehne main
Insaan kahaan tak jaaiga
Kab koi maseeha aaiga
Aur aman ki raah dikhaiga
Aye rahbaron
Kuch tum bhi kaho
Kya aisa waqt bhi aaiga?

© Aarzoo Mehek

Kuch Tum Bhi Kaho!
Tuesday, February 2, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,nazm,social injustice,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 02 February 2016

An amazing poem, Aarzoo Mehek has written this poem for any Indian city but it's applicable on many cities of Pakistan, the message being so universal I am going to share it on facebook.

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 03 February 2016

real sir grrt poem

0 0
Nosheen Irfan 02 February 2016

So beautiful... I loved to read it in Urdu. Beautifully illustrated. The images are very startling and heart-rending but they complement the poem very well. You have used your pen to highlight the problems of the common man which is praise-worthy. Way to go Aarzoo.10 undoubtedly.

1 0 Reply
Abhilasha Bhatt 02 February 2016

Yun khushiyon ka sheher Sadme main kho gya Yun dil ka sheher Dard main doob gya Kyun ye wehshatain hain insaanon main Insaan insaaniyat se gir gye.......a very beautiful poem as usual....thank you for sharing :)

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 16 February 2016

Police brutalities! Unjust. Thanks for sharing.

0 0 Reply
Souren Mondal 07 February 2016

'Dukh dene main dukh sehne main Insaan kahaan tak jaaiga Kab koi maseeha aaiga Aur aman ki raah dikhaiga Aye rahbaron Kuch tum bhi kaho Kya aisa waqt bhi aaiga? ' Aaj kal duniya mein jaisi wahshat aur nafrat faili huyi hai, aise mein sach me insaaniat ko bachane ke liye koi masihe ki zaroorat hai.. Ya phir hum sab ko hi yahi samajh na chahiye ke insaan hone ke naate ye humara farz banta hai ke hum humari iss khoobsurat dharti ko aur khoon aur nafrat se na bhare, bal ki pyaar aur aman ki beej booyen.. Sukhriya Arzoo.. Ek bohoot hi khoobsurat aur dil ko chu jaani wali kavita hai ye...

0 0 Reply
M Asim Nehal 03 February 2016

Kehne ko ab kya reh gaya, Har taraf nafrat ki aag hai, Insaan hi insaan ka dushman ban baitha hai, sab ek dusre ko nicha dikhane pe tule hain, Wo jisne hamein banaya hai Wo bhi sharminda hoga....A thought provoking poem....Liked it, Thanks for sharing...10+++

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 03 February 2016

HomePoemsPoetsMember AreaQuotationsPoetry E-Books Share this poem: Share on Facebook Share on Twitter Share on Google+ mithilesh yadav Bronze Star - 2,215 Points mithilesh yadav Poet's PagePoemsCommentsStatsSend MessageShare on FacebookShare on Twitter Poems by mithilesh yadav: 5 / 39 « prev. poem next poem » Avtaar - Poem by mithilesh yadav Is baar barish aag ki kardey..... ki har goror insaan ka rakh kr dey..... Jo sir nhi jukhta sadkey mein sach key... uss jhuthey gumaan ko khatam kr dey...... Wo jo kr dete hain baat baat pey teri astitva pey sawal...... astitva inka iss jahan sey fanah kr dey...... kamjor ki taqat kehta hai tujey jahan sara...... Aab rutbeywalon ko bhi aapni taqat ka isara de dey..... Tujhey dekh lengey to sayed sach jan lengey..... ye nadan hain kudh mein ya mujhmey tujhey dhund nhi patey.... teri taqat dekh lenegy to sayed maan jayengey..... ye nadan hai teri sacchai ko maan nhi patey.... chamtkar ko namaskar krney ki aadat ha inko...... aaja kuch aisa chamatkar kr dey..... aaja kuch aisa chamatkar kr dey..... bhakti daar sey hi aani hai to daar hi sahi....... tere bina aab kisi sey bhi koi ummid nahi...... prashasan sasan, saitan, manusya sab pathhar ho gayen hain..... aab to inko pathar tod key darshan dey dey..... iss baar nhi krega koi athak bhaqti teri..... iss baar apney astitwa ko bachaney darshan dey dey...... iss baar apney astitwa ko bachaney darshan dey dey....... warna khatam ho jayega insan aur insaan ka wishwas..... Na bhaqat rahega na uskey hriday mein tera wash..... aapney bhatken bacchon ka aakey tu khudh ungli tham ley...... karma dharma aur sacch key liye, awtaar ley..... karma, dharma aur sacch key liye awtaar ley....... mithilesh yadav My version of your prayer..... sath koi bhi ho hum to baas sach ka sath karengey..... kalm key sipahi hain kalam sey insaniyat likhengey... thanx for sharing mam ki

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 03 February 2016

Insaan kahaan tak jaaiga Kab koi maseeha aaiga Aur aman ki raah dikhaiga Aye rahbaron Kuch tum bhi kaho Kya aisa waqt bhi aaiga? grrrt penned

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success