** Jalwa'A Haq ** Poem by Syed Anwar Yarkhan Jilani

** Jalwa'A Haq **

Aap nay aakho mai jo maikhana choopa rakha hai
Hosh wallow ko bhi diwana bana rakha hai.

Her aada oski meray dil ko sooku(n) deti hai
Aur kiya meray liye iskay siwa rakha hai.

Koee manzer ho meri aakha ke aage tu hai
Naam yewhi tow nahi jaan-a aada rakha hai.

Ishq khate hai jise log na samjhgen ge isse
Naam is dard ka mainay tow dawa rakha hai.

Aap ki yaad reyazat hai eebadat hai meri
Aap ki yaad may duniya ko bhula rakha hai.

Jalwa a Haq ka talabghar hoo Moosa tow nahi
Aap Ajmer mai hai Toor pe kiya rakha hai.

Mujh se sharminda hai, nadim hai aakidat se meri
Wo hawas aag jissay mainay bhoojha rakha hai.

Meray Khwaja ki karamat hai aur unki aata
Ek zarray ko jo mahtab bana rakha hai.

Meray jasbaat ka unwan meray Khwaja piya
Arzoo tumnay mager mainay dua rakha hai.

Hamnay janbazow ko bakshi hai jasarat tum say
Khoon kay samanay ab rang-a hina rakha hai.

Imteyaz man-o-tu ka koee imkan nahi
Aap hai dil may tow dhadkan mai khuda rakha hai.

Aisa Anwar jise nooray Khuda kahte hai
Meray Khwaja may tow khoob bhara rakha hai.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success