Ek Anokhi Prem Kahani Poem by Dev mishra

Ek Anokhi Prem Kahani

sunata hu mai ek anokhi prem kahani.khud mai apni jubani.
tha ek ladka jo ek ladki se pyar krta tha.
krne ko wo ijhaar apne pyar ka thoda dra sa rahta tha.
jis ladki se tha usko kuch khna, jiske sath tha usko jindagi bhar rhna.
wo ladki us ladke se bilkul alag thi, dhyan na tha use us ladke ka jiske dil me bas uski hi tasveer lagi thi.
ankhe ghumata tha jidhar wo ashiq bas wo ladki hi dikhayi pad jati thi.
lekin bekhabar uske pyar se wo ladki, pass se uske gujar jati thi.
beetta chla gya wo waqt, wo ladka ijhaar na kr ska.
khna tha usko bht kuch phir bhi kuch na kah ska.
aya wo ek din uski jindagi me, chla tha wo ladka us ladki se kuch kahne.
lekar hath me lal gulab uske naam ka.
pahuch gya wo peene pyala pyar k jaam ka.
kar diya sajda usne us ladki k samne.
bola aya hu mai jindagi bhar k liye tera hath thamne.
sunkar in lafjo ko dil us ladki ka pighal gya.
boli na usse kuch bas uska dil uske dil se jud gya.

phir ladki boli us ladke se, krte the itna pyar jo mujhse,
kiya kyo nhi ijhaar tumne.
bola wo ladka phir usse
, kahna tha mujhe bht kuch tumse bas dar jata tha kya wo bhi pyar krti hai mujhse.

bas itna bolkr wo ladka chup sa ho gya.
dalkar apni ankho ko ankho me uski, mano usi me tha kho gya.

bola us ladki se lekr apni banho me tujko jannat ki mai sair karunga.
karega na pyar mere jaisa koi tujhe aisa pyar mai tujhse jataunga.


ladki uski pyari baato me fida si ho gayi.
sochne lagi ab to mai sirf isi ki ho gayi.

din beette chale gye, raate gujarti gyi.
achanak na jane unke pyar ko kiski najar lag gyi.

badal gya sab kuch jo pahle hua tha.
sapna dekha the jo unhone wo tut sa gya tha.

badal gya wo ladka, us ladki k pyar me.
mil gya koi aur usse uske yaaro k yaar me.

roti rhi wo ladki lekin wo ladka wapas na aya.
jisne diye the sunder spne uski ankho me ab unhi ankho me ansoo bhar aya.


cheekne lagi wo ldki pane ko uske pyaar ko.
sooj gayi aknhe uski, chah me us ladke ke deedar ko.

uth gya bharosa uska uper baithe bhagwan se.
nhi krna pyar us ladki ko kisi khudgarj insaan se.

wo.khte hai na bhagwan k ghar der hai andher nhi.
paya jab us ladki ne us ladke ko tab samjhi ye baat sach me hai sahi.


bola wo ladka maaf kr de mujhe , pyar krne wala mujhe koi tujh jaisa nhi.
de de sja mujhe koi manjoor hai, kyonki is jnha me khudgarj aur beraham mujh jaisa nhi.

us ladki ne rakhkr hath uske hotho per bhar liya apni banho me.
kahne lagi hai us ladke se,
tera basera to hai sirf mere dil ki ranho me.

dungi itna pyar tujhe ki marne k baad bhi yaad ayegi meri.
bas mil gya tu mujhe ajj, chahe jaan bhi chali jaye ajj meri.

❤❤❤❤❤❤❤❤
👫💏💑

Sunday, October 25, 2015
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success