Dil Ka Dar Poem by sonali kumari

Dil Ka Dar

Rating: 4.0

Ruko, thahro jara,
Waqt to do thoda,
Mouka na dena na sahi,
Vishwas to rakh lo zara,
Zindagi ek hi to hai meri,
Waqt hi to ek sath rahta hai,
Sath na ye kabhi chhoda hai,
Waqt tum to sun lo zara,
Tham jao kuchh pal yaha,
Yu na chhodo akele is tarah,
Apne dil ke armano ko,
Nayano ke kuchh sapno ko,
Apne hi apno ko,
Chhodu mai to kis tarah,
Tut bikhar mai jaungi,
Male ki moti bhati,
Jo sab se alag yu ho jaungi,
Sun le ye waqt vinti meri,
Tham ja tu yahi is ghadi,
Shadi se hu mai darati,
Chahu ruk jaye yahi ye dharati,
Lagta hai dar mujhe,
Sonch kar kal ke lamhe......

Sunday, April 10, 2016
Topic(s) of this poem: feeling
COMMENTS OF THE POEM
Jongoni Sripriya 25 March 2019

waah sonu.....i loved this one

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 19 August 2016

bahuth kamal ke kehnaey hai...wah waaah...

1 0 Reply
Rajnish Manga 10 April 2016

यह जान कर अच्छा लगा कि आपने कविता के माध्यम से कुछ संदेश देने का प्रयास किया. लेकिन शादी जैसे जीवन के एक सामान्य लेकिन अहम पड़ाव को आपने एक भयानक सपने के रूप में कैसे प्रस्तुत कर दिया? Waqt.... Tham jao kuchh pal.... Zindagi ek hi to hai meri.... Shadi se hu mai darati..... Chahu ruk jaye yahi ye dharati,

1 0 Reply
Sonali Kumari 12 April 2016

Maaf kiziyega sir agr aapko bura laga ho to.......... Par mai shadi khilaf nhi hu bas kuchh ldkiyo par zor dala jata h shadi k liye uske khilaf hu aur usi wqt k feelng ko likhne ki koshish ki maine....... Aur mere hisab se to shadi barbadi ya koi bhayank sapna nhi blki aajadi hai khushiya hai zindagi ki :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success