Apana Bana Lo//Chutaki Bhar Sindoor Laga Do Poem by shambhu nath

Apana Bana Lo//Chutaki Bhar Sindoor Laga Do

Tasveer badal do meri tum
Mai bhee teri ban yaaoo
Chutaki bhar sindur laga do
Tere rang me rang jaoo
Apani chhaap mere par chhoro
Lagi rahe bas teri dhun
Tasveer badal do meri tum
Mai bhee teri ban yaaoo
Rang virange foole se
Tere haatho ke jhule se
Haar pinhaa do pyaar kaa
Barish kar do uphaar koa
Meri aash jagaa do tum
Tasveer badal do meri tum
Mai bhee teri ban yaaoo
Jo taak rahe najar garaaye
Najar jhuka ke jaayege
Meri teri prem kahani
Auro ko sunaaye ge
Log samajhane lagege apana
Nahi jherege koi khun
Tasveer badal do meri tum
Mai bhee teri ban yaaoo
Chatak matak chehare par rahata
Par logo ki baat khatakti hai
Ji galiyo se mai jati hoo
Byabng ki baari chalti hai
Marane ki naubat na aaye
Pyaari pyaari baate sun
Tasveer badal do meri tum
Mai bhee teri ban yaaoo

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 9
shambhu nath

shambhu nath

Pratap Garh Uttar Pradesh
Close
Error Success