Aasteen Ka Saanp- A Snake In The Cuff Poem by mazHur Butt

Aasteen Ka Saanp- A Snake In The Cuff

Rating: 5.0

.Rozan e diwaar mein na der me tha
mera dushman mere apne ghar me tha.
Mar ke bhi hum to nibhayen ge wafa
Bus yehi sauda samaya sur me tha.
Ye sila mehmaanoan ne mujh ko diya
woh the qaabiz ghar pe aur baher mein tha
Apne hee baazu na jab apne rehay
Apne hee mein khauf mein tha der mein tha
woh hunar jo kar gaya unko amar
meer o ghalib me bhi tha Mazhur me tha.

Wednesday, October 29, 2014
Topic(s) of this poem: hate
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 29 October 2014

A beautiful and meaningful Ghazal.......................10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success